is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshiyon ki sabhayen

hamari sabhaon ke baare mein jaaniye. pata keejiye ki sabha ki kaun-si jagah aapke ghar ke paas hai.

sabse paas ki jagah dhoondhein (opens new window)

hamari sabhaon mein kya hota hai?

yahova ke sakshi upasna karne ke liye hafte mein do baar sabhayen rakhte hain. (ibraniyon 10:24, 25) in sabhaon mein koi bhi aa sakta hai aur is dauran hum seekhte hain ki bible kya batati hai aur un shikshaon ko hum apni zindagi mein kaise laagoo kar sakte hain.

hamari zyadatar sabhaon mein haazir logon ke saath saval-javab ke zariye charcha ki jaati hai, jaise ek class mein hota hai. sabha ko geet aur prarthna se shuroo aur khatm kiya jaata hai.

hamari sabhaon mein koi bhi aa sakta hai, iske liye zaroori nahin ki aap ek yahova ke sakshi hon. ismein aane ke liye na to kisi se paise liye jaate hain, na hi chanda maanga jaata hai.