is jaankari ko chhod dein

naujavanon ke saval

kya mujhe dosti ka daayra badhana chahiye?

kya mujhe dosti ka daayra badhana chahiye?

“mujhe apne doston ke gut ke saath hi rehna achha lagta hai. kisi aur se dosti karna mujhe bahot mushkil lagta hai.”—alan.

“mere kuch hi dost hain aur mujhe aisa hi pasand hai. aur bhi logon se dosti karna ya aise logon se baat karna jinhein main nahin jaanti, yah mere bas ki baat nahin.”—sara.

kya aap bhi alan aur sara ki tarah mehsoos karte hain? jin bachchon se aapki pakki dosti hai, kya aap bas unse hi khush hain aur naye logon se dosti nahin karna chahte?

agar haan, to yah lekh aapke liye hai!

 sirf kuch hi logon se dosti banaye rakhne ke nuksan

pakke doston ka ek samooh hona koi buri baat nahin hai. us samooh mein aap apnapan mehsoos karte hain aur jab aapke dost aapki khaamiyaan jaante huye bhi aapko apnate hain to aapko achha lagta hai.

“jab doosre aapko pasand karte hain aur aap ek samooh ka hissa hote hain to aapko achha lagta hai, kyonki koi bhi javan nahin chahta ki woh doosre bachchon se alag nazar aaye.”—19 saal ki karen.

kya aap jaante hain? yeeshu ke kai dost the jinmein 12 preshit shaamil the. magar un 12 preshiton mein se 3 uske sabse kareeb the. woh the patras, yakub aur yuhanna.—markus 9:2; luka 8:51.

lekin agar aap sirf kuch hi doston se mel-jol rakhein aur doosron se door rahein to isse samasyayen khadi ho sakti hain. jaise:

  • aap aise logon se dosti nahin kar paayenge jo bahot hi badhiya dost saabit ho sakte hain.

    “agar aap sirf apne jaise bachchon se dosti karein to aap nayi-nayi cheezon ka maza nahin le paayenge aur na hi aise logon ko jaan paayenge jo kamaal ke hain.”—21 saal ka evan.

  • aap ghamandi hone ka naam kamayenge.

    “agar aap sirf kuch hi logon se ghule-milein to doosron ko lag sakta hai ki aap kisi aur se baat hi nahin karna chahte.”—17 saal ki sara.

  • aap bhi daadagiri karne lag sakte hain.

    “ek naujavan shaayad daadagiri na kare. lekin agar uske doston ka samooh aisa karne lage to use lag sakta hai ki ismein koi burai nahin hai. yahi nahin, use daadagiri karne mein bhi maza aane lag sakta hai.”—17 saal ka james.

  • agar aap har haal mein us gut ka hissa bane rehna chahte hain to aap museebat mein fans sakte hain.

    “kai baar dekha gaya hai ki sirf ek bure dost ki vajah se baaki sabhi dost bhi bure kaam karne lag jaate hain.”—17 saal ki martina.

 aap kya kar sakte hain

  • jaanchiye ki aapke kya usool hain.

    khud se poochhiye: ‘mere usool kya hain? kya mere doston ki vajah se in usoolon ko maanna aasan hai ya mushkil? kya main har haal mein un logon se dosti banaye rakhna chahta hoon?’

    bible ka siddhaant: “buri sangati achhe usoolon ko bigaad deti hai.”—1 kurinthiyon 15:33, footnote.

    “agar aapke kuch dost un usoolon ko nahin maante jinhein aap maante hain, to unki dekha-dekhi aap aise kaam karne lag sakte hain jo shaayad aap khud-ba-khud nahin karte.”—14 saal ki ellen.

  • jaanchiye ki aap kin baaton ko zyada ahmiyat dete hain.

    khud se poochhiye: ‘kya main apne doston ko itna maanta hoon ki unse dosti banaye rakhne ke liye agar mujhe apne usool bhi todne pade to main taiyar hoon? agar mera koi dost kuch galat kaam kare to main kya karoonga?’

    bible ka siddhaant: ‘main jinse lagav rakhta hoon un sabko fatkarta hoon.’—prakashitvakya 3:19.

    “agar aapka ek dost mushkil mein pad jaaye aur aapmein yah galat soch paida ho jaaye ki aapko uska saath dena chahiye, to uski galti ke baare mein doosron ko batana aapko gaddari lag sakta hai.”—22 saal ki melanie.

  • dosti ka daayra badhaiye.

    khud se poochhiye: ‘kya main dosti ka daayra badha sakta hoon aur un logon se bhi dosti kar sakta hoon jinhein main nahin jaanta?’

    bible ka siddhaant: “har ek sirf apne bhale ki fikra mein na rahe, balki doosre ke bhale ki bhi fikra kare.”—filippiyon 2:4.

    “jin bachchon ko doosre pasand nahin karte shaayad unke parivar ki haalat itni achhi na ho. lekin ek baar agar aap un bachchon ko jaan lein to aap paayenge ki unmein bhi kai achhaiyaan hain.”—19 saal ka brian.

sau baat ki ek baat: kuch hi bachchon se pakki dosti banaye rakhna galat nahin hai. magar hamein unhin tak seemit nahin hona chahiye. agar hum dosti ka daayra badhayen to hamein kai faayde ho sakte hain. bible batati hai, “jo doosron ko taazgi pahunchata hai use khud taazgi milti hai.”—neetivachan 11:25.