is jaankari ko chhod dein

parivar ke liye madad | bachchon ki parvarish

agar mera naujavan bachcha mera bharosa tode, to kya karoon?

agar mera naujavan bachcha mera bharosa tode, to kya karoon?

 kai bachche maata-pita ke niyamon ke mutabik jeena pasand nahin karte. to kai aise hain jo apne mummy-papa se jhooth bolkar chori-chhipe apne doston se milne jaate hain. agar aapka bachcha kuch aisa karta hai jisse aapka bharosa tootta hai, to aap kya kareinge?

 kya mera bachcha bagavati hai?

 aisa zaroori nahin. bible mein likha hai, “javan ke man mein moorkhta basi hoti hai.” (neetivachan 22:15, footnote) unke kaamon se saaf pata chalta hai ki bible ki yah baat bilkul sach hai. dr. laurence steinberg ne apni kitab mein likha hai ki ‘javan bachche aksar jaldbazee mein bevkoofi bhare faisle lete hain. maata-pitao, aapke bachchon se galtiyaan hongi.’ *

 kya mera bachcha mujhse jhooth bol raha hai?

 pehle se yah mat maan baithiye ki aapke bachche ne aapki baat na sunne ka faisla kar liya hai. research se yah pata chala hai ki shaayad bachche oopri taur par dikhayen ki unhein is baat se koi fark nahin padta ki mummy-papa unke baare mein kya sochte hain. lekin sach to yah hai ki unhein fark padta hai. ho sakta hai, aap bachche se jo chah rahe the use poora karne mein woh naakam ho gaya. isliye woh khud se hi naaraz hai. aur is vajah se woh aapko khulkar nahin bata paa raha kyonki use lagta hai ki woh aapki ummeedon par khara nahin utra. *

jab tooti haddi fir se jud jaati hai aur theek ho jaati hai, to usmein pehle jaisi taakat aa jaati hai. toota hua bharosa bhi aisa hi hai. woh fir se jud sakta hai

 yah kiski galti hai?

  •   kya uske aas-paas ka maahaul kharab hai? bible mein likha hai, “buri sangati achhi aadatein bigaad deti hai.” (1 kurinthiyon 15:33) naujavanon par unke doston ka bahot gehra asar hota hai. iske alava un par social media aur vigyapanon ka bhi asar hota hai. itna hi nahin, kam tajurba hone ki vajah se woh bevkoofi bhare faisle kar baithte hain. lekin unhein apni galtiyon se sabak seekhna chahiye. aisa karne se woh us galti ko dobara nahin dohrayenge aur ek zimmedar insan ban paayenge.

  •   kya yah meri galti hai? aap shaayad sochein ki mainne apne bachche ke saath kuch zyada hi sakhti barti, isliye usne aisa kiya. ya shaayad aapko lage ki mainne use thodi zyada hi dheel de di, jiska usne galat faayda uthaya. yah sochne ke bajay ki meri kis galti ki vajah se usne aisa kiya, yah sochiye ki aap is samasya ko kaise hal kar sakte hain.

 main aisa kya karoon ki bachcha mera bharosa jeet paaye?

  •   apna aapa mat khoiye. aapke bachche ko pata hai ki usne jo kiya, usse aap bahot gussa hain. magar gussa hone ke bajay, kyon naa bachche ke saath aaram se baithkar baat karein aur poochhein usne aisa kyon kiya? kya woh sirf kuch naya karne ki koshish kar raha tha? bore ho raha tha? akela mehsoos kar raha tha? ya use doston ki kami mehsoos ho rahi thi? haalaanki ismein se koi bhi vajah uski galti ko sahi nahin thehrati. magar isse aapko aur aapke bachche ko yah samajhne mein madad milegi ki aakhir aisa kyon hua.

     bible ka siddhaant: “har koi sunne mein furti kare, bolne mein utavli na kare aur gussa karne mein jaldbazee na kare.”—yakub 1:19.

  •   apne bachche ko yah samajhne mein madad deejiye ki aisa kyon hua. kuch aise saval poochhiye jaise, isse tumne kya sabak liya? agar agli baar aisi hi samasya uthe, to tum kya karoge taaki dobara aisi galti na ho? aise saval poochhne se aap apne bachche ki madad kar paayenge ki woh apne sochne-samajhne ki kaabileeyat ka achha istemal kare.

     bible ka siddhaant: “sabra se kaam lete huye aur kushalta se sikhate huye galti karnevale ko sudhaar, daant aur samjha.”—2 timuthiyus 4:2.

  •   saza bhi deejiye. jab bachche se galti hoti hai, to use saza bhi deejiye. isse bachcha seekhega ki galti karne par saza bhi milti hai. maan leejiye, aapki gair-haaziri mein bachche ne aapse poochhe bagair ghar par party rakhi. aise mein aap kya kareinge? aap kuch samay ke liye doston ke saath uske milne-julne ka samay kam kar sakte hain taaki use ehsas ho ki usne aapka bharosa toda hai.

     bible ka siddhaant: “ek insan jo bota hai, vahi kaatega bhi.”—galatiyon 6:7.

  •   yakeen dilaiye ki bharosa jeeta jaa sakta hai. agar bachche ne aapka bharosa toda hai, to ye raaton-raat theek nahin hoga. ismein samay lagega. use yakeen dilaiye ki woh aapka bharosa fir se  jeet sakta hai. lekin agar bachcha yah soche ki woh aapka bharosa dobara kabhi nahin  jeet paayega, to woh aisa karne ki koshish bhi nahin karega.

     bible ka siddhaant: “apne bachchon ko kheej na dilao, kahin aisa na ho ki woh himmat haar baithein.”—kulussiyon 3:21.

^ yah jaankari you and your adolescent  kitab se hai.

^ haalaanki hum is lekh mein ladkon ki baat kar rahe hain, par ismein di baatein ladkiyon par bhi laagoo hoti hain.