is jaankari ko chhod dein

yahova ke sakshi ilaj ke liye khoon kyon nahin chadhvate?

yahova ke sakshi ilaj ke liye khoon kyon nahin chadhvate?

hamare baare mein failaye gaye jhooth:

jhooth: yahova ke sakshi beemar hone par naa to davaiyaan lete hain aur naa hi apna ilaj karvate hain.

sach: hum apne aur apne parivar ke liye jahaan tak mumkin ho behtar-se-behtar ilaj karvate hain. jab hum beemar hote hain to hum achhe doctoron ke paas jaate hain jo bina khoon ke hamara badhiya ilaj kar sakein aur zaroorat padne par hamari surgery bhi bina khoon ke kar sakein. chikitsa ke shetra mein badi tarakki hui hai, uski hum kadar karte hain. yahova ke sakshiyon ke liye bina khoon diye ilaj karne ke jo tareeke nikale gaye, unse naa sirf sakshiyon ko balki baaki logon ko bhi faayda hua hai. isse kai deshon mein mareezon ko faayda ho raha hai. khoon naa lene ki vajah se hum kai takleefon se bachte hain, pehli, hum aisi beemariyon se bachte hain jo khoon se failti hain, doosri, hum un takleefon se bachte hain jo khoon chadhane par hoti hain kyonki kai baar shareer kisi doosre ka khoon kabool nahin karta teesri, hum un takleefon se bachte hain, jo doctoron ki laaparvahi se hoti hain.

jhooth: yahova ke sakshi maante hain ki theek hone ke liye sirf vishvas hi kaafi hai.

sach: hum aisa nahin maante.

jhooth: bina khoon ka ilaz bahot mahanga hota hai.

sach: beshak bina khoon liye surgery karvana shaayad mahanga lage magar aakhir mein iska kul kharcha aksar kam padta hai. *

jhooth: har saal bahot-se sakshi aur unke bachche khoon na chadhvane ki vajah se mar jaate hain.

sach: yah baat bilkul galat hai. aaj surgeon dil ki, haddiyon ki aur ang pratyaropan (organ transplants) jaisi mushkil-se-mushkil surgery bina khoon chadhaye karte hain. * aksar dekha gaya hai ki jo mareez bina khoon liye ilaj karvate hain, woh un logon ke mukable jaldi theek ho jaate hain jo khoon chadhvate hain, fir chahe chhote bachche ka hi ilaj kyon naa ho. * khoon chadhane ya naa chadhane se is baat ki koi garanti nahin milti ki ek insan bachega ya nahin.

yahova ke sakshi khoon kyon nahin chadhvate?

yah hamare liye chikitsa se juda mudda nahin, balki ek dhaarmik mudda hai. bible ke purane aur naye niyam mein khoon se door rehne ke baare mein saaf-saaf bataya gaya hai. (utpatti 9:4; laivyavyavastha 17:10; vyavasthavivran 12:23; preshiton 15:28, 29) parmeshvar ki nazar mein khoon zindagi ke barabar hai. (laivyavyavastha 17:14) khoon naa lene ki do vajah hain, pehli, hum parmeshvar ki baat maanna chahte hain aur doosri, hum is baat ki kadar karte hain ki jeevan parmeshvar ne diya hai.

badalte vichar

mushkil-se-mushkil surgery bina khoon chadhaye ki jaa sakti hai

pehle doctoron ka maanna tha ki khoon naa chadhvana khud ki jaan dene ke barabar hai. par ab unke vichar badal rahe hain. udahran ke liye 2004 mein chikitsa se judi ek patrika mein kaha gaya: “yahova ke sakshiyon ke liye ilaj karne ke jo khaas tareeke nikale gaye the, woh aage chalkar sab logon ke ilaj mein istemal kiye jaayenge.” * heart, lung and circulation naam ki patrika mein san 2010 mein likha tha: “bina khoon liye surgery sirf yahova ke sakshiyon tak hi seemit nahin honi chahiye. yah to operation theatre mein aam baat maani jaani chahiye.”

duniya bhar mein hazaron doctor mushkil-se-mushkil surgery bina khoon chadhaye kar rahe hain. aisa karne ke liye woh kuch aisi technique apnate hain, jisse surgery ke dauran kam-se-kam khoon bahta hai. ye techniquein aaj vikasasheel deshon mein bhi maujood hain aur yahova ke sakshi hi nahin balki doosre log bhi iski maang karte hain.

^ para. 6 transfusion and apheresis science,  volume 33, nan. 3, page 349.

^ para. 8 the journal of thoracic and cardiovascular surgery,  volume 134, nan. 2, page 287-288; texas heart institute journal,  volume 38, nan. 5, page 563; basics of blood management, page 2 aur continuing education in anaesthesia, critical care and pain,  volume 4, nan. 2, page 39 dekhiye.

^ para. 8 the journal of thoracic and cardiovascular surgery,  volume 89, nan. 6, page 918; aur heart, lung and circulation,  volume 19, page 658. dekhiye.

^ para. 10 continuing education in anaesthesia, critical care and pain,  volume 4, nan. 2, page 39.